How to use YouTube Premieres Feature on YouTube video ? - Navi Era - Tech | Tutorial

Breaking

Friday, November 23, 2018

How to use YouTube Premieres Feature on YouTube video ?

Dosto agar Aap YouTube Premieres feature ka use karna chahte hai to aap badehi aasani se is feature ka use karsakte hai.
Pehle ye feature YouTube ke kuchh selected creator par test Kiya Gaya tha aur ab ye feature har YouTube creator ke liye available hai. Yani agar Aapka koi YouTube channel hai aur aap Apne channel par video upload Kiya karte hai to YouTube ki oor se aane wala YouTube Premieres feature aapke liye bahut hi kaam ka sabit ho Sakta hai.

Ab aap ye sochenge ki ye YouTube Premieres feature hai kya ? Aur iska kya faida hai ?
Agar Aap ek youtuber hai to apke liye ye feature bahut kaam ka hai is YouTube Premieres feature me aapko bahut advantage milega Jaise agar Aap apna koi video upload karte hai YouTube par aur aap use published karte hai to kuchh subscriber Ko aapke video ka notification jata hai aur kuchh Ko nahi jaata hai Lekin jab aap is feature ka use karenge to aap Apne subscriber Ko premiere feature ke through thoda engaged kar sakte hai.
Is YouTube Premieres feature me aapko double notification jaane ka options milta hai Jaise ki Maan lijiye ki aap koi video upload karte hai Apne channel pr aur aapko usko turant published nahi karna hai to aap us video ko scheduled kardijiye aur aap jis time video Ko published karna chahte hai us time Ko set karne ke Baad aapko wait karna hai published time ka yani ki jis time par video published hone Ko hoga usee thik 30min pehle ek notification chalajayega jisse ki apke subscriber Ko ye pata chal jayega ki aapki oor se koi nayi video aane vali hai fir jab last ke 2min bachenge to ek counter start ho jayega, 2 min ka counter khatam hote hi ek Baar fir sabhi subscriber Ko fir ek notification jayega aur tab aapka video published ho jayega, adhik jankari ke liye niche diye Gaye video Ko jarur dekehe.

             

see this video for more information


No comments:

Post a Comment

What do you think about this article? just write your feedback in the comment box. Thanks :)

WhatsApp
Telegram